Bharat Ma Ke Manachitra Me || भारत मां के मनचित्र में
Bharat ma ke maanachitra is, bhagwa dhwaj ki jai ho
punya prasoo shashvatha pavitra is, bhagwa dhwaj ki jai ho.. bharat
Yug yug se isse seekha hai, tyag aur balidaan
sari sanskruti se hi siddha ho, aisa surabhit gyan
manavata ke param mitra is, bhagwa dhwaj ki jai ho…bharat
Jan seva nishkam yagna ki, satprerana dilata
shuddha buddha swatantra shikhar par, chadhna hame sikhata
chakravarti chitrita charitra is, bhagwa dhwaj ki jai ho…bharat
Himagiri iska dand param priya, bhagwa iski kaaya
dwaithadwaith darshanon ki hi, shiksha lekar aaya
saurabh deta astra shastra is, bhagwa dhwaj ki jai ho…bharat
Iske upar brahma pranth hai, neeche kanyakumari
madhye vilasit vanga varidhi, jiski shobha nyari
ganga yamuna nada brahmputra is, bhagwa dhwaj ki jai ho…bharat
Iske neeche ramkrishna ne, danav dal samhara
kali durga lakshmi ne bhi, dushman ko lalkara
samiti karya prerak vishishta is, bhagwa dhwaj ki jai ho…bharat