Here are the Lyrics:

sangh hriday mein bhar paye ab
ghar ghar apne jaana hai

sangh kaarya jeevan vrat mera kabhi na yah bisarana hai
ahankara vyaktitva hriday se poorna mita kar chalna hai
tatva gyan ki shiksha paa kar swarnimasamay bitana hai
tatva sudha ras pikar nija ko amrita poorna banana hai

siddhanton par apne dat kar sangh niva ko bharna hai
nirbhay ho kar dridhata se ab vippatiyon se ladna hai
anta rang bahi rang hamara sab samaan sunirmal hai
maanavata ka anubhav apne kaarya roop mein laana hai

hindutva ek apanatva bhaavana rom rom mein bharna hai
hindu hriday sab ek roop kar bindu sinduvat karna hai
rutsi ma ke baahar apne sangh shakti prakatana hai
karya kushalata se hi apna aage pair badhana hai

sangh shakti ke prakarsh mein hi hindu hriday utkarsh bhara
hindu shaki ke prakaash mein hi ripudal ka hai naash bhara
dharma bhakti ki pradibta jwaala dhadhak rahee man mandir mein
jal se jal saa yuja mukti ka tej bhare prabhu dharti mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *