Yug Parivartan karne ko ab
Yug Parivartan karne ko ab
Dheya Marg par chalana hai.
Vishwa Patala par Bharat Ma ka,
Phir se Shaurya Dikhana hai, Phir se Shaurya Dikhana hai
Samay Chalega apne dang se,
Avichal gati apnana hai,
Grama Nagar aur Dagar dagar mein,
Bhakti Bhaav Prakataana hai,
Hridaya Dhara par Bharat maa ka,
Ujwal Chitra Banana hai, Ujwal Chitra Banana hai,
Kurukshetra mein geeta sunjo,
Arjun the kati baddha hue,
Shakha Sthal par usi reet se
Nav Bharat nirmaan karen
Sneha bhare bhavon se punarapi
Arpan bhaav jagaana hai, Arpana Bhaav jagaana hai
Keshav Madhav ke sapnon ko
poora kar dikhalana hai,
Sangh Shakti ke dwaara jag ko.
Darshan Bhavya karaana hai,
Hindu aur Hindutva bhaav se
Bhagwa Dhwaj phehraana hai, Bhagwa Dhwak Pheharaana hai….